urduwala.com

User Login

Not yet a Member? Register Now

"Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dum nikle"

Romantic~Muhabbat : Ashaa'r

Contributed by Users or Collected From Internet



Un ko gharoor-e-hussn hai, mujh ko gharoor-e-ishq, Woh bhi nashy mein choor hain, mein bhi piye huye.. Aao husn-e-yaar ki baten karen, Zulf ki, rukhsaar ki baten karen.. Tujhe rozz dekhoon kareeb se, Mere shauq kitney ajeeb se.. Qareeb itna wo kuch dinon se aa gya hai, K us se rabta toota hua hy kuch dinon se… Tum ko ata hai pyaar pe ghusa, Mujh ko ghussay pe pyar ata hai.. Mere hathon to mehkey hain tamaam din, Jab tere khawb mein baal sanwaarey mene.. Pyar se jab naam mera baar baar us ne liya, Lafz apne naam ka saara mujhe achaa laga.. Tum ko dekha to mohabbat bhi samajh mein ayi, Warna is lafz ki tareef suna kartey they.. Sikka Banaa Ke Jab Uchhala Gaya Mujhe, Mein Teri Haar Jeet Mein Taqseem Hogaya.. Har Ek Morr Pe Ghamoon Ko Saza Dain Hum, Chalo Zindagi Ko Muhabbat Bana Dain hum… Uss zulf ki, us ke lab ki batain, Yaad ayin mujhe, ghazzab ki batain.. Kon jeetey ga un se baton me, Jin ki ankhen kalaam karti hon.. Teri be’rukhi se aata hai lutf, Tu agar pyar se dekhe to mar jau gi.. Tera Wajood bhi hai sach magar, Humain tujhse, Wo Ishq hai ke tujhe soch kar hii mar jaayen Bahar saray chaman ki aaeen hoti hai, Bahaar chand guloon ki hansi ka naam nahi.. Husn walo, tumhari bhi kya baat hai, Har mulaqat pehli mulaqaat hai.. Nazar karna, nazar-andaz karna, Yehi hai pyar ka aghaaz karna.. Ik lafz mohabbat ka adna’aa* sa fasaana hai, Simttay to dil-e-aashiq, phailay* to zamana hai.. Tu meri zindagi mein laazim hai, Jese pehla sawaal ho bachey ka.. Mohabbat bhi ajab shay hai ke jab baazi pe ati hai, To sab kuch jeet leti hai, ya sab kuch haar deti hai.. qismat k taraazu main tolo to faqeer hain hum, dara-e-dil main hum sa nawazzb nahi koi … Talkhiyaan mohabbaton mein palti hain, Kuch mohabbat mein faasla rakhna.. Mohabbat ka takaaza hai ke band apni zubaan kar lein, Zara si baat per kyun hum kisi ko bd’gumaan kar lein.. Abhi to dil mein halki si khalish mehsoos hoti hai, Bohat mumkin hai, kal is ka mohabbat naam ho jaye.. Mohabbat mein kabhi woh daur bhi aaya kartey they, Mein unme samaya karta tha, woh mujme samaya karte they.. Baish e qeemat hai Ghamhaye muhabat mat bhool, Zulmat yaas ko mat soonp hazeena apna.. Barsar-e-jang raza aaj ye duniya hai magar, Aik din thak kar muhabat ka sahara lay gi Bohat hain dolat pindaar par bhi dewaanay, Jo tujh sa rooth chuka hai usay mananay ja. Bijli kabhi giri kabhi sayaad aagya, Hum na tou chaar din bhi na dekhay bahaar o pyaar kay.. Chalo aaj ak neyaa kaam kartay hain, chalo aaj usay youn sar-e-aam kartay hain, Os ka naam likhtay hain dewarun par aashar, Aur usay jhuk jhuk kar salam kartay hain..

Disclaimer : Work that explicitly mentions Barbar Ghazipuri is Copyright Reserved. No Publication or sharing without consent is permissible. To remove/modify any part/content/shayari that infringes/violates anyone's copyright please contact UrduWala Team.





Design by MAJF Technologies and brought to you by GhazalGah